.
Kya hai Facebook Fan page?
Ham sabhi jante Facebook duniya ki sabse badi social networking site hai, duniya ke 60% log facebook use karte hai, Agar hame apne vichhar jyada se jyada logo tak pahuchane hai to ham Facebook status me ek post dal ke apne vichaar logo tak pahuchaa sakte hai, usi tarah kisi cheej ko famus karna hai to Facebook se achha koi tarika nahi, kai business man apne business ke promotion ke liye Facebook ka use karte hai, Facebook bahut easy and free service hai, jise bahut log apne profit ke liye use karte hai. Usi tarah Facebook fan page hai jo Facebook ki sabse achhi service hai. jiske use se ham apne vichhar jyada logo tak pahucha sakte hai, Business promotion kar sakte hai, Aur bhi bahut kuch kar sakte hai.
Jab ham apna Facebook Fan page banaa lete hai, uske bad ham us page me jab koi status dalte hai to wah status direct un member ke samne hi aa jata hai, jo member us fan page ko like kiye huye hote hai. ye bahut hi achha tarika hai apne vichhar logo tak direct pahuchane kaa. lekin us ke logo ne apne us page ko like bhi karna chahiye, bina like ke ye tips kam nahi karegaa, isiliye like badhaye, Fan page ko jitne jyada like hoge utna achha hai, isiliye like bahut hi jaruri hai. aaiye aage padhte like badhane ke tips ke baare me.
Dosto mai aaj ek simple aur easy tips batane ja raha hu, jisase apne facebook id ke sabhi friends ke like apne page ko mil jayenge. ha ye sach hai dosto, facebook ne ek new featurs add kiya hai jisase aisa karna karna posible ho gaya hai. facebook me adhiktam 5000 friends hi add kar sakte hai, isiliye ham is tips se sirf 5000 hi like mila sakte hai, lekin facebook fan page ki koi limit nahi hai, isme ham unlimited like mila sakte hai, ham unlimited logo tak apne vichhar pahuchaa sakte hai. isiliye facebook page bahut jaruri hai.. aaiye jante hai aage, Facebook Id ko Facebook page me kaise badale…
.
Facebook Id ko Facebook page me kaise badale?
Ab aap sabse pahle is link par click kare CLICK HERE
Ab ek new page khulega us me Get Started par click kare.
Ab Ek new page… Popup Page khulega us me Continue pe click kare. ( Isame likha hai Ki Aapne Naya page bana liya hai )
Ab new page khulega, Profile to page tools Dikhai Denga. us me Aapko Jaruri Settings kar leni hai.
Follow steps :
Category : Aapke Page ke Liye Category Select Kare.
Name : Page ka Name Select kare …Change kare.
Address : Aapka Address… Location likhe.
phone Number : Aapka phone number Add Kare.
Short Description : Aapke new page ke Bare me 2-4 line jarur Likhe.
Ab Profile to Page tools Settings ho jane ke bad Next pe Click Kare.
Ab aapko Facebook id ke sabhi friends ko Fb fan page me add karna hai……
Ab Ek new Page Open Hoga. Choose Friends to Like Your Page Yahan aapko facebook account Se Sabhi friends Page me Add karne Ke Liye friends Select karne hai. Aapko Kai Option Bhi Milenge. Lekin Aapko All friends Ko select karna hai. bcz Sabhi friends Page Me add ho jaye.
Ab niche Next Pe Click Kare. Ab Aapko photo Albums Select kane Ke Liye Kaha Jayega. Aapko photos albums Dikhai de Isame Se Aap jo bhi page me Add Karna Chahte hai us photo ko Select Kare.
Ab last Me Finish Pe Click Kare. Aapka Page ready Ho Gaya hai. Ab Ek Sath Aapke Sabhi Friends ke Like page pe mil gaye hai, Ab setting option me jake apne hisab se setting kar sakte hai, Agar samaj nahi aa raha hai to aap hame comment karke puchh sakte hai.
Facebook Id ko Facebook page me kaise badale ? is post ki sabhi procces puri ho gai hai, ab ham is page me post share kar sakte hai.
Dosto Muze ummid karta hu aapko mera ye post jarur pasand aayega, agar ye post aapko pasand aaye to is post ko apne friend me jarur share kare. Agar kuch sawal hai to aap muze comment kar ke puchh sakte hai.
Facebook id ko facebook page me kaise convert kare is bare me kafi badhiya likhe ho sir ji.
Keep visiting Pooja Mam.