Namste dosto,
Aaj ham is post me website aur blogging se paisa kis tarah kamaya jata hai ye jante hai. website aur blog me kya fark hai, isase kitni kamai ki ja sakti hai ? yah sab jankari aaj ham is post ke madhyam se janenge. aaiye aage padhte hai blog aur website kya hai?
.
Blog aur website me kya fark hai?
.
Sabse pahle ham yah jante hai ki blog kya hai, blog ke prakar aur blog banane ke popular site konte hai.
Blog 2 type ke hote hai
.
1) Blogger blog ( blogger.com)
.
2) WordPress blog ( wordpress.com or wordpress.org )
1) Blogger blog :- Blogger blog google ki hi ek service hai, jise internet par istemal kiya jata hai. ise internet magzin bhi kaha jata hai, kyoki is par vibhinn vishay par lekh likha jata hai. jaise – politicks, education, tecnology, poem, letter, story kuch bhi kisi bhi vishay par likh sakte hai. is par account banane ke bad hame blogspot.com yah subdomen milta hai. jisase apne blog ka url xyz.blogspot.com is tarah dikhta hai.
.
Blogspot.com google ki ek blog hosting service hai, jisase naye blogger ko free me blog banane me aasani hoti hoti hai. blog banane ke blogger bahot achhi site hai. is site par blog banane ke bad blogspot.com subdomen ki jagah .com, .in, .net, .org is tarah ke domen name add kar sakte hai. lekin yah domen name Costlly hai. inka charge inke domen service par depend karta hai. Godaddy, bigrock, etc.
.
2) WordPress blog :- WordPress bloging service blog banane sabse achhi service mani jati hai. ise jyada tar profesional blogger istemal karte hai. kyoki is par bhi vibhinn prakar ke blog banaye jate hai. is par bussness blog, educational blog. bahot prakar ke blog bana sakte hai.
is par blogger blog ki tarah vibhinn vishay par lekh likha jata hai. jaise – politicks, education, tecnology, poem, letter, story kuch bhi kisi bhi vishay par likh sakte hai. is par account banane ke bad hame wordpress.com or wordpress.org ye subdomen milta hai.
.
WordPress.org par account banane ke bad hosting lena bahot jaruri hai, kyoki hosting ke bina wordpress.org par ham ek bhi post nahi likh sakte. hosting hame space provide karti hai. jaise mobile me memory card vaise hi wordpress par hosting. hosting charge unke hosting service par depend karta hai. Godaddy, bigrock, hostgator etc.
Is par bhi .com, .in, .net, .org is tarah ke domen name add kar sakte hai. lekin yah domen name Costlly hai. inka charge inke domen service par depend karta hai.
.
Dosto hamne upar blog kya hai iske bare jankari padhi hai. ab ham website ke bare me jante hai. aage padhe – website kya hai ?
.
Website kya hai ?
.
Aaj tak hamne jana hai ki website wo hai jo www se suru hoti hai aur .com .in me end hoti hai. lekin ye sahi nahi hai. blog complete hone ke bad wo website me import ho jata hai. tab blog hi puri tarah website ban jata hai. lekin blog ke atirikt bahot se aise online services hai jiske dware website banaya ja sakti hai. lekin sabhi costlly hai. uspe sab kuch chargeable rahata hai jaise – domen, hsting, template, disign etc. isiliye bahot log website banane ke liye blog se suruwat karte hai. website aur blog me kuch bhi fark nahi hota. dono ek hi hai. website aur blog se paisa kamana jyada muskil bhi nahi hai. aaj bahot se log mahine me lakho rupaye kama rahe hai. aage padhe – Kaise Kare Blog Aur Website se Kamai ?
.
Blog aur website se paisa kaise kamaye ?
- Sabse pahle to aap blog ya website banaye.
- Uske bad koi bhi ads services ke ads apne website or blog pe lagaye.
Sabse achhe ads services ( blog ya website par ads lagane ke liye)
.
ये भी अवश्य पढ़े :
.
Dosto muze ummid hai, aap in link par visit karke jan jaoge ki aapke website aur blog ke liye best ads publisher konsa hai aur blog aur website se kaisi kamai ki jati hai. fir bhi agar samzane me kuch dikkate ho rahi ho to aap niche comment box me comment kar sakte hai. ham aapki samsya sulzane me puri madad karenge.