Dosto hamne pichhle post me Adsense, bidvertiser aur chitika ads publisher se kamai kis tarah ki jati hai unpar account kaise banate hai aur unki terms and conditions kya hai iske bare me jana hai.
Lekin aaj is post me ham janenge ki Media.Net kya hai aur isme kamai kis tarah ki jati hai, aur is par account kaise banate hai ?
Hame ye to pata chal hi gaya hai ki Media.Net ek ads service hai lekin iska istemal kaise hota hai kya hai iski terms and conditions aage isi post me jante hai.
Aaiye dekhte hai Media.Net kya hai ?
Media.net ek high cpc network hai jiski ad adsense ke ad ki tarah dikhti hai. aur isase achhi kamai ki ja sakti hai. lekin sirf English blog par. kyoki media.net sirf english language hi support karta hai. agar hamare blog par complate 20 post hai aur high quality content hai to hame approval bhi jald hi mil jayega.
Media.net 3 type ki ads hoti hai.
1) contextual advertisements
2) High Revenue
3) Mobile Ads
Ye ads apne post se related ads show karate hai. jisase wo ads apne post topic me ghul mil jate hai aur visitor ko samaz me hi nahi aata ki yaha ads lage hai. jisase apne blog ko ek new look bhi mil jata hai. blog ki disign me koi fark nahi padta related ads hone ki wajah se. media.net se jyada paisa kamane ke liye hamare blog par jyada se jyada visitor aane chahiye. hamare blog me jitne jyada visit honge utna achha hame paisa kamane ke liye.
Kaise badhaye blog or site par traffic ?
[ Traffic meanse blog ya website par aane wale visitor]
Blog ya kisi website par traffic lane ke bahot se tarike hai jinse apne blog par traffic ki badauti hoti hai.
1) Apne blog ya kisi website ki traffic badhane ke apne blog ko jyada se logo tak share kare.
2) Blog ya kisi website ki traffic badhane ke liye social networking site par apna blog/website share kare. facebook, twitter, likedin, pintrest, etc.
3) Apne blog ya website par traffic badhane ke unhe google + par bhi share kare.
4) Apne blog ya website ko google, yahoo, bing ki webmaster service me submit kare. isase bhi achhi traffic badhai ja sakti hai.
5) Apne blog ya website par traffic increase karne ke liye aur bhi kai tarike hai, jaise ham kisi ki site par visit karte hai to waha comment box me comment karke apni site bhi waha dal de.
Media.net ads service ho ya koi aur ads service ho sabhi me traffic bahot important hai, bina traffic ke ham kuch bhi income nahi kar sakte. isiliye most important traffic hai.
Media.net par account banane ke liye kya jaruri hai ?
1) Aapke pas blog ya website hona jaruri hai.
2) Aapka blog ya website English language me likhi hona jaruri hai.
3) Aapke blog ya website me complate 20 + post hone chahiye.
4) Aapke blog ya website me dally 200 + pagview hone jaruri hai.
Agar aapke blog me upar diye gaye sabhi conditions complete hai to aapko Media.net se approval jald hi mil jayega.
Media.net par account kaise banaye?
Sabse pahle http://www.media.net par visit kare.
Uske bad signup pe click kare.
Ab screenshot dekhe.
Is screenshot me jis tarah form dikh raha hai us tarah ek signup for new account ka form open hoga us form me sabhi jankari thik se bhare.
Jaise.:-
First name : me apna first name dale.
Last name : me apna sirname dale.
Email : me bapni email id dale.
Website url : me apne blog ya website ka url dale.
Uske bad apne blog ya website ki category choose kare.
Fir captcha box me captcha enter kare.
Uske bad I agree to the termsofservice & privacy policy ke aage box me tik mark lagaye.
Ab submit pe click kare.
Jab aap sumit pe click karenge to uske bad aapke email me ek confirmation email aayega. usme likha hoga ki kuch din wait kare aapke blog ya website approval milne ke liye.
Aapke website or blog ko 2 – 4 din andar approval mil jayega. uske bad aap Media.net account me ads creat karke apne blog ya website me laga sakte hai. ads lagane ke 24 to 72 hours me ads active ho jayenge aur us samay se aapki kamai suru ho jayegi.
Dosto hamene is post me shortcut me Media.net ke bare me jankari diya hai, agar aapko is post se related kuch bhi help chahiye to comment box me aap comment kar sakte hai.
Nisha says
Hello Sir, Thanks For The Nice Article And Great Information.