Infolinks se paise kaise kamaye
Abhi tak hamne is site par AdSense, Bidvertiser, Chitika, Aur Media.net jaisi ads service se paise kaise kamate hai yah jana hai. Unki kya kya terms and conditions hoti hai ye bhi jana hai. Usi tarah aaj is post me Infolink se kamai kaise karte hai yah jante hai. Lekin sabse pahle hame ye janana jaruri hai ki Infolink kya hai? Aaiye aage jante hai iske bare me.
Dosto jis tarah AdSense, Bidvertiser, Chitika Aur Media.net Ads service hai usi tarah Infolink bhi ek best ads service hai. ye service blog aur website par apne ads chalati hai aur blog and website walo ko paise deti hai. lekin iski bhi kuch terms and conditions hoti hai. Jo blog and website walo ko follow karne hote hai.
Agar thik se sabhi rule and regulations follow karte hai to Infolinks ads service se paisa kamana jyada muskil nahi hai. to aaiye dekhte hai kya kya niyam aur shart hai infolink Ads service ke.
Terms and Conditions of Infolinks
1) Infolinks hamare blog or site ke content check karta hai ki yah blog Infolinks ads lagane ke kabil hai ya nahi. Post, word content, image etc. copyright to nahi hai na yah sab bhi dekhta hai.
2) Blog minimum 3 month purana hona chahiye. Koi post adhura na likhe. Infolink se approval milne me dikkat ho sakti hai.
3) Blog or site ke minimum 1000 pageview hone jaruri hai. Jisase infolink visitor Ranking par najar rakhta hai aur wo janleta hai ki daily kitne visit ho sakte hai hamare blog and site par. daily Kam se Kam 100 -150 pageview hone jaruri hai. Ye bhi dhyan rakhe Infolinks me apply karne se pahle.
4) Post me jyada image ka istemal na kare. 2-3 image hi dale. Koi bhi ads service image ko read nahi kar pata.
5) Infolinks me apply karne se pahle apne blog or site broken links aur page not found jaise problems ko dur karle. kyoki ye bhi wajah ho sakti hai approval na milne ki. Isiliye sab kuch thik karle us ke bad hi Infolinks me apply kare.
6) Ho sake to blog or site ke important page bhi banale. Jaise Privacy page, Contact us page, About us page, Terms and conditions page etc. Lekin agar ye page nahi bhi banaye to chalta hai. Isase infolinks par koi farak nahi padta. Agar ye page nahi rahenge fir bhi Infolinks se approval milna possible hai. Lekin Baki sab t&c follow kare.Infolinks ads 5 type ke hote hai
Infolinks ads 5 tarah ke hote hai. intext, infold, intag, iframe aur inscreen. ye ads bahut hi best tarike se manage kiye huye hote hai. jaise ki apne post ke content me kisi main word ko hi apni link me convert kar lete hai jisase ads ke liye kisi alag space ya jagah ki jarurat hi nahi hoti. jisase apne blog ya website ka look jaisa ke vaisa bana rahta hai.
Dusre ads services me ads ke liye ek alag hi jagah manage karni hoti hai lekin Infolinks me aisa karne ki jarurat nahi. infolink khud hi ads link manage karta hai. aur us link par jab koi visitor click karta hai to usase apni income hoti hai.
Infolinks pe Account kaise banaye ?
- Sabse pahle www.infolinks.com par visit kare.
- Uske bad Publisher pe click kare.
- Fir Signup Free pe click kare.
- Uske bad ek new page khulega. screenshot dekhe.
- My website address me Apne blog ya website ka address dale. aur phir facebook ya email se signup se kare. Uske bad 1 se 7 din tak wait kare.
- 7 dino ke andar me aapko approval mil jayega. approval milne ke bad aap infolinks account me ads create karke apne blog ya website par html section me lagana hai. 72 hours me ads active ho jayenge. uske bad aapki kamai shuru ho jayegi. lekin aapko sirf apne website ki traffic par jyada dhyan dena hoga. kyoki bina traffic ke aapki income nahi ho sakti. isliye jyada se jyada traffic badhane ki koshish kare.
Dosto is post me hamne bataya hai ki Infolink Ads se paise kaise kamaye. agar is post se related koi bhi sawal ho to aap comment kar ke puchh sakte hai. thanks.
Nice bhai
Thanks kailash ji
Very good information bro. infolincks se paisa kaise kamaye, uski t&c ke bare me.
Very good information bro. infolincks se paisa kaise kamaye, uski t&c ke bare me.
Thanks @ Ashish ji
bahut hi achchii jankari di aapne..?
Thanks himanshu ji, keep visiting
bahut hi badiya jaankaari di aapne thanks for this