Hamne pichhle post me Adsence se kamai kaise kare and bye jana hai. lekin aaj ham Chitika se kamai karne ka tarika janane wale hai. lekin dosto chitika kya hai iske bare me bhi hame jankari hona bahot jaruri hai. income start karne se pahle us ke bare me jankari hona jaruri hai jisase ham income karna chahte hai.ab aaiye dekhte hai kya hai chitika?
Chitika kya hai – What is Chitika
Chitika ek adsense and bidvertiser ki tarah ads publisher hai. jisase ham adsense aur bidvertiser ki tarah income kar sakte hai. ye bahot hi achha Ads publisher hai aur isase kamai karna bhi bahot simple hai. hamne pichle post me bidvertiser se kaise kamai karte hai aur usase kamai karna kitna aasan hai ye jana hai. usi tarah is post me Chitika se kamai se kaise karte hai aur isase kamai karna kitna aasaasn ye bhi jante hai.
Chitika most important ads publisher hai. jisase aasani se approval mil jata hai, adsense ki tarah 8 – 10 din intjar karne ki jarurat nahi. aur intjar karne ke bavjud bhi approvel mil jayega iski koi garanty nahi. kyoki adsense bahot hi sharte rakhta hai. maine bidvertiser se kamai kaise kare is post me iske bare sab bataya hai. lekin chitika ke liye ye sab jaruri nahi hai. isiliye chitika bahot achha ads publisher hai blog ya website se paisa kamane ke liye.
Aaj jinka Adsense me blog ya website disapprove ho gaya wo is chitika use kar rahe hai. because Chitika is the best ads services for low content and no any terms and conditions. is se achhi kamai karne ke liye hamaare blog ya website par achhi traffic ki jarurat hai. tabhi chitika se achhi kamai ki ja sakti hai. Chitika se kaise kamai ki ja sakti hai ye ham aage padhte hai.
Aaiye jante hai Chitika se paisa kaise kamaye
Dosto hamne pichhle post me bidvertiser se kamai kaise kare me blog traffic kitni important hoti hai ye jana hai. isme bhi yahi jaruri hai. Traffic har ads services ke liye important hai, bina traffic ke ham kuch bhi income prapt nahi kar sakte hai. isiliye har ads services ko traffic ki bahot jarurat hai.
Chahe chitika ads service ho ya koi aur ads service ho sabme traffic ki bahut jarurat hoti hai. chitika service se aasani se approval mil jata hai, lekin jab ham adsense ki bat kare to adsense ki bahut se niyam aur sharte hame follow karne hote hai, kuch bhi idhar udhar nahi kar sakte agar ye sab use pata chala to adsense apna adsense account block kar deta hai.
Account block ki bat hai to account block to chitika bhi kar sakta hai lekin chhote chhote problams ke liye nahi karta. agar apne ko achhi aur lifetime kamai karni hai to apna sabhi work thik se hona chahiye. koi cheating nahi sab legal hona chahiye.
Bahot log blog par traffic lane ke liye cheating karte hai jaise paid visitor, froud click, invalid click etc. inko ads service track kar lete hai. jo apne earning ke liye wrong hai. isase apna account block hone ki jyada sambhavna hoti hai. isiliye dhyan rakhe koi bhi galat kam na kare traffic badhane ke liye.
Aap traffic badhane ke liye apne site ko jyada se jyada logo tak share kare. Seo setting manage kare. aur aap apne blog or site ko social networking site par bhi share kar sakte hai. traffic badhane ke liye social networking site ka bahot bada hat hota hai, ye bahot jabardast tarika hai traffic badhane ke liye. traffic badhane ke liye bahot log social networking site ka istemal karte hai. aap bhi kar sakte ho.
Aaiye ab ham jante hai ki Chitika par account kaise banaye
Sabse pahle www.chitika.com par visit kare.
Ab get started to easy pe click kare.
Ab ek new page khulega usme Email box me apni email dalne ke liye puchha jayega. Uske bad niche me GO option pe click kare.
Ab aapke gmail box me ek mail aayega.wo email open kare aur Complate my aplication pe click kare.
Uske bad ek new page khulega Screenshot dekhe.
Is form me sabhi jankari sahi sahi bhare.
Aur niche submit pe click kare.
Ab ek new page khulega usme Go to my dashboard pe click kare.
Uske bad kaise add apne blog or site par rakhna hai ye select kare.
aur Get code pe click kare. aur code copy karle aur apni website me ya phir blog me Layout me jake Add gudget pe click kare.
Uske baad ek popup window open hogi usme Htmal/ java script pe click kare.
Ab ek aur popup window open hogi usme code box me copy kiya huwa codepest kare aur save kar de.
Phir chitika dashboard Account me payment setting pe click kare.
Uske bad waha par apna first name aur last name dale. aur payment email me paypal ki id dale.
Agar aapka paypal account nahi hoga to banale.
Ab verify pe click kare. agar aapka paypal account verified hoga to thik hai nahi to verify karle.
Ab account banane ki sabhi proccess complete ho gai hai. ab aap chitika ke ads apne site par laga sakte hai.
Dosto muze ummid hai aapko meri is post se Chitika me kaise account banaye and chitika se kaise kamai kare is bare me puri details di gai hai. aapko ye proccess samazane me koi dikkat nahi hogi.