Namste Dosto, Hamne pichhle post me Adsense kya hai aur uspar account kaise banate hai ye jana hai. aaj ham is post me Bidvertiser kya hai aur us par account kaise banate hai aur sath me ye bhi janenge ki isase se income kaise karte hai.
Aaiye pahle yah jante hai ki Bidvertiser kya hai
Bidevertiser Adsense ki tarah ek ads service company hai jis par free publisher account sign up kar sakte hai. aur is par apni site or blog add karne ke bad bidvertiser us par apne ads chalata hai aur jitne visitor hamare website ya blog par aate hai aur click karte hai uske hisab se bidvertiser ads service hame paisa deta hai.
Bidvertiser ads service chhote blog walo ke liye bahot achhi service hai, kyoki ye service apne blog par 10 – 12 post hone ke bad bhi approval de deti hai. (means Ads lagane ke liye manjur ho jati hai)
Jinke blog par kam post hai wo bhi is ads service ka labh utha sakte hai. baki jo ads service wo blog par kam post hone par approval nahi dete hai. lekin bidevertiser jald hi approval de deta hai. isiliye ye better hai ads service hai.
Agar hame bidvertiser achhi kamai karni hai to hamare site par jyada se jyada post hone chahiye. aur apne site par traffic bhi bhaut jyada honi chahiye. tabhi ham is ads service se achhi income prapt kar sakte hai. apne site jyada se jyada visitor lane ke liye, apne site ki traffic badhane liye aapke likhe huye post interesting hone chahiye jinhe padhkar visitor ko maja aa jaye jaise unhe aapki post se kuch naya sikhne ko mile.
Boring post na likhe isase traffic par bahut bura sasar hota hai. aisa post likhe ki ek baar koi visitor aapke site par aa gaya to wo bar bar aana chahiye. isiliye post likhte samay sabhi keyword par dhyan de.
Aaiye jante hai kaise banate hai bidvertiser pe account
sabse pahle www.bidvertiser.com par visit kare.
Screenshot dekhe
Uske bad choose template pe click kare aur ek popup window khulegi usme template set kare Aur update pe click kare.
Ab get code pe click kare. ab wo code waha se copy karle aur apne website or blog me Layout me jake Add gudget pe click kare.
Uske ek bad popup window khulegi usme Html/java script pe clcik kare aur uske bad ek window khulegi usme niche code box me copy kiya huwa code pest kare aur Save kar de.
Phir Bidvertiser me preferences pe click kare uske bad ek popup window khulegi usme ad kaha aur kaise dikhana hai wo select kare. aur update pe click kare.
Uske bad verify pe click kare. aur verify box me captcha dale aur verify pe click kare.
Ab aapka account banane ki puri proccess complate ho gai hai. aapka account paisa kamane ke liye tayaar hai.
Dosto muze ummid hai Bidvertiser Se Paisa kamaye is bare me di gai jankari aapko samaz me to aayegi. lekin phir bhi koi problame ho rahi ho to niche comment jarur kare, ham aapki problame solve karne me puri sahayata karenge.
Hi sir please help me mujge aapki help ki jarurat hai so please contact me my whatsapp no. 7048459795 please sir
Hi sir please help me mujhe aapki help ki jarurat hai so please contact me my whatsapp no.7048459795 please sir I white for you awonser
Hi sir please help me mujhe aapki help ki jarurat hai my whatsapp no.7048459795 and email [email protected] my name is ajayyadav
Hi sir my name is ajayyadav please help me sir mujhe aaki help ki jarurat hai my whatsapp no.7048459795 and email [email protected]
Hi sir kya aao mujhe vata sakte hain ki abhi live me mai aapko jis page me comment kar raha hu isme aapne kaun si template save kiye hai iska naam aur agar mI bhi use download karna chahu to kaise aur kaha se karu
Yah template maine aryan rathor se kharida hai.yah template modify kiya huwa hai. agar aapko chahiye to aap usase kharid sakte ho.